kabhi the to kabhi nahi
jaise khuda
jo guzar gayi vo guzar gayi
sabr karte karte kabr
ab kya kahoge yahan?
chale jao. ghar banao.
rahamat-e-tamaam tabah hai
izm ke band-aa-ish
main bin kaaran ki khwaahish
bin meethe-taqalum ki baatain
kaise reh paogi?
chale jao. ghar banao.
yaha bas ek insaan hai
bin samaaj ki bandishon ke
bin kasme vaadon ke
bin jhoothe iraado ke
sirf teri rooh se mohabbat karne vaale ko kaise samjh paogi?
kaise nibhaogi?
chale jao. ghar banao.