jab lage doobne ko hai uski aankhon me,
tab uski aankhon ne paar kar diya
chaai jab khamoshi aur hone lage beghar
uski sargoshi ne amaan kar diya
hona hi tha muntjir to hume, yuhi kaatni thi zindagi
uss bewafa ne aisa humara intezaam kar diya
chalne lage jo hum madhushaala se, pyaase aur akele
phir uss saaki ne mera jaam bhar diya
chadne lagi phir vahi mohabbat ki daastan
bolte rahe hum aashiqi, humara ishq sare aam kar diya
qaatil nahi the hum, khanjar uska tha
ilzaam lena tha magar jab, khud sar kar diya
phir vahi madhoshi, vahi deewangi
phir uski aankhon ne asar kar diya
maante nahi the usko hum, thi bohot shikayaten
uss ne phir iss beghar ko ghar kar diya
roshan hua tha jab se, uski parchai se durr
phir uss andhere ne shaam kar diya
bachaye manch ko ab koi, baitha rahe yahan
sab haar ke, sab uske naam kar diya