dekh to phir fuul khilne lage hai
tu aur mai phir milne lage hai
phir shikvoń aur giloń ki raat so rahi hai
jaade ki thand khatam ho rahi hai
kis muh se keh de tumhe ki tumse mohabbat nahi karte
apne hi jahaan-e-ilm se nafrat ho rahi hai
dekh to ki ab bhi tere liye suraj ugta hai
meri kabr se shola sa uthta hai
jab se jaana hai jeene ka matlab
tabse hi tujhse mohabbat ho rahi hai
jaade ke shuruati mahino me lag gayi thi latt teri
ishaq reh gaya, jaade ki thand khatam ho rahi hai
do zindagi tujhpe vaar di
ek tere pehle ki, aur ek tere baad ki
do hi jaade gujre hai tere mere beech abhi
par ye kya haseen zindagi ho rahi hai
ye duniya aur khoobsoorat ho rahi hai
abhi aur nahi bata paunga
kya hai na bade dino se thithur rahi thi
meri jaan-e-jigar ab so rahi hai
jaade ki thand khatam ho rahi hai
ab roshni bhi padti hai par nahi padti
uski aankhon me zyaada garmaish hai
uski tabiyat me meri dhadkano ki paimaish hai
ab guzarish hai ye fuul bhi ab phir khil jaye
jo sab so chuke hai, uth jaye
ye aankhein bohot ro chuki hai
shikayaten bohot ho chuki hai
ab vo khilkhila rahi hai
mere paas aa rahi hai
chunni haathon me phailaye, leh ra rahi hai
jaade ki thand ja rahi hai