khabar be-khabar thi zinda laasho ke vyaapar ki
ankahi, ansuni, bikhari hui, lachaar si
tanhai ke aalam me ghut-ti khushi
andhere se lipti, bujhti roshni
aakhir hua kya?
sawaal reh gaye bas; zanjeero se bandhe
kuch uske, kuch apne.
sapne.
sapne jo banaye the, uske bachchon ke saath khelne ke
jaise usne hume bada kiya, khilaya, seekhaya
uske bachchon ko seekhane ke
nahi bhi hote to vo to hoti
aakhir mahila sirf maa to nahi.
ab vo nahi hai to vo baat bhi nahi
hassi ruk ruk ke aati hai
kabhi aati hai, kabhi nahi aati hai
khushiyan jaise chali si gayi hai
roshni jaise dhal si gayi hai
vo chali gayi hai