jabse paani se pyaas bujhi hai
na jaane kaisi aag lagi hai
chahiye aur nahin bhi
mil jaye to tabah
na mile to tadap
dikh jaye to khuda
chup jaye to chubhan
aakhir ye khel hai kaisa
sadiyon ke andher ke jaisa
ki roshni hone par bhi
andhere ko kaat ti nahi hai
aur kitni hi koshish kar lo
uski yaad dil se jaati hi nahin hai
khamoshi bhi bohot halla kar rahi hai
dekho roshni dhal rahi hai
kahi der na ho jaye
kahi baat adhoori na reh jaye
par jab saamne hote hai to bhi
toh bolte nahi hai
par haan
iss khamoshi me vo sukoon hai
jo shabdon ke junoon me nahi