iss se takatvar koi ni
iske barabar koi nahi
neev bhi chaaya bhi
iss se badhkar koi nahi
balidaan deta garv se
bachaav bhale hi chhal se
mare kabhi na, maare das
iski shiksha me jeevan ka ras
durr hai khada
ubaal se bhara
zameen se juda hua
aasmaan ko choota hua
badi mahan chahvi hai
samrat chakravarty hai
humse pehle janta ka
aur isme hume koi sankoch nahi hai
kyunki safar ke har padaav
ko samjhne ki humari pahonch nahi hai
baap se muqaabla karne vaala beta sabse nalayak hota hai
aur iss sher ka jeeva sahi samay pe nayak aur aur sahi samay par khalnayak hota hai
kitni gehraai hai iss insaan me
aur kitni ankahi hai
par jaise ye jiya aur jiyega
sahi hai.
kyunki janta me, aur parivaar me,
yehi hai.