raakh ka ubaal hun
me vish bimisaal hun
me peeth par prahaar hun
sher ki dahaad hun
shaitaan ki me chaal hun
me zindagi ka saar hun.
jo ant se bhi dar gaya
vo jeete jee hi mar gaya
suraj uska dhal gaya
chitta sa vo jal gaya
vo haarke hi ghar gaya
mera ant aaega nahi
tu bach paega nahi
mere jaisa kahi nahi
pura khel mujhse hi
saam daam bhed sab sahi
bhaagu me jaise pavan
ek adhuure aashiq ki lagan
dil khatam, dimaag prachand
gurur bhi aur ghamand
meri muthi me brahmand
kaale naag ka fan main
akela bhi aur jan main
man bhi aur tan main
aag bhi aur jal main
roz ki anban main
jeet ka shankh main.
jeet hi jeevan hai
jeet ke upar kuch nahi
jeet hi parmatma hai
jeet hi uttar hai
jeet hi main hun