ilaaj asaan tha
haal puchna tha
dil to nadaan tha
izhaar sochna tha
mehfilen toh aati jaati rahengi
dil-e-nakar anjaam sochna tha
paani ki chah hi sirf pyaar nahi tha mera
pyaar ka guldaston nahi, baag banana tha
kitni mohbbat ho gayi thi tumse
chila chila kar duniya ko jatana tha
sirf paana maqsad nahi tha mera
paa kar nibhana tha
jo aaj tere saath khade hai
kabhi vo mera zamana tha
paakiza nahi hai, bagairat hai
mere bina tera pyaar adhura rahega
aur ab mere iss dil ke kamare pe
zindagi bhar pehra rahega
dil pe zanjeer jo dal gayi hai
uspar naam tera hi hai
aur haste to hai hum logo me
par ghaanv to gehra hi hai
jo khabare mere baare me ban jae
chaap do aur maan lo sach hai
par mere sach ki khabar
bas tujhe hai
aur tere sach ki mujhe