A survey was conducted by the Central govt. of India regarding the condition of roads, with emphasis on the National and State highways, and the sample consisted of truck drivers, known to commute & shift load from one state to another. One question stated: “Which road/highway do you consider to be the best?”; this is the response that was received from a truck driver named “मंच”:
Yu toh bohot sadke dekhi hai
Har sadak apni kahaani sunati hai
Par mujhe vo sadak sabse zyaada pasand hai
Jo mujhe mere ghar le kar jaati hai.
Mere ghar ki sadak
Tooti hui, गढ़ों se bhari,
Paani bhar jaata hai jab bhi baarish aati hai
Iss sadak pe jab pehli baar gira tha bachpan me uska nishaan ab bhi maujud hai
Iss sadak pe meri bheno ke saath pakdam pakdai khelne ka ab bhi saboot hai
Iss sadak se mujhe meri maa ki kaam se lautne ki khushboo aati hai
Iss sadak se mere papa ki apne doston ke saath chai peete samay hasne ki awaaz aati hai
Iss sadak pe ab bhi mere pehle pyaar ka khat fata hua aur kahi gum hai
Dhyaan se dekho, iss sadak pe me aur tum hai
Sadak ko theek karne ka vaada karne vaali sarkaar ab bhi gayab hai
“Kabhi toh theek hogi hi?”, ab bhi ye sawaal shayad hai
Ki iss sadak pe mera bachpan, ab, aur kal niklega
Isi sadak ne mujhe banaya, aur iss hi pe bikhrega
Iss sadak pe mere ghar ka dabadaba ab bhi kaayam hai
Iss sadak ka falsafa mere hi ghar ki tarah mulayam hai
Tum ne dekhi hai meri sadak?
Ya ab bhi bas inn highways pe itaraoge?
In pe toh bas vyaapaar hota hai,
Inme kya Hindustan paoge?
Hindustan un choti sadkon me hai jaha aap jaate nahi
Jaha sab ek hai, koi dharam-jaati nahi
Ispe marte ke khoon ka bhi koi farq nahi hai
Jalaane ke liye chita aur dafnaane ke liye kabr nahi hai
Agar upar se neeche tak koi nahi khaata isko to hum iss tooti sadak se laachaar kyu hai?
Aur agar sab sadak ghar hi jaati hai, toh ye intezaar kyu hai?
Agar vahi material lagta hai isse banane me jo bahar desho me hai to ye toot ti kyu hai?
Aur me ghar phir deri se aa raha hun, ye soch kar meri lugaai roothti kyu hai?
Yehi sadak mujhe ghar le jaati hai
Aur jab ghar se durr hun to mere ghar ki chitthi laati hai.
Yehi sadak mujhe kudaati hai, aur phir chaati se lagati hai
Dhyaan se suno, har sadak kuch sunati hai.